ho sai-e-talab ya tark-e-talab har ek mein rahe nakaam se hum
ho sai-e-talab ya tark-e-talab har ek mein rahe nakaam se hum
Zubair Irtaza
MORE BYZubair Irtaza
ho sa.ī-e-talab yā tark-e-talab har ik meñ rahe nākām se ham
ārām kī ḳhātir kyā na kiyā mahrūm rahe ārām se ham
tābinda hai jis se shahr-e-butāñ mausūm to haiñ us naam se ham
phirte haiñ dayār-e-jānāñ meñ har chand baḌe badnām se ham
ik roz ye rasm-e-shahr-e-sanam hogī ye hameñ ma.alūm na thā
vo naam ḳhatā-kāroñ meñ hai mausūm hue jis naam se ham
kyā hāl-e-shab-e-furqat hogā kyā rang-e-shab-e-hijrāñ hogā
be-āb-o-pareshāñ āshufta ranjūr haiñ phirte shaam se ham
ham ahl-e-junūñ ab ahl-e-sitam kī saf meñ gine jaate haiñ jahāñ
aa.e the samajh kar ghar apnā be-fikr the par anjām se ham
ruḳh aisā havā kā kuchh palTā jo honā nahīñ thā phir vo huā
mumkin thā jahāñ tak koshish kī par bach na sake ilzām se ham
kuchh kaam na aaya jazba-e-dil be-sūd ḳhulūs-e-shauq 'zubair'
ummīd vahāñ kis se rakkheñ yaad aa.eñ jahāñ dushnām se ham
ho sai-e-talab ya tark-e-talab har ek mein rahe nakaam se hum
aaram ki KHatir kya na kiya mahrum rahe aaram se hum
tabinda hai jis se shahr-e-butan mausum to hain us nam se hum
phirte hain dayar-e-jaanan mein har chand baDe badnam se hum
ek roz ye rasm-e-shahr-e-sanam hogi ye hamein malum na tha
wo nam KHata-karon mein hai mausum hue jis nam se hum
kya haal-e-shab-e-furqat hoga kya rang-e-shab-e-hijran hoga
be-ab-o-pareshan aashufta ranjur hain phirte sham se hum
hum ahl-e-junun ab ahl-e-sitam ki saf mein gine jate hain jahan
aae the samajh kar ghar apna be-fikr the par anjam se hum
ruKH aisa hawa ka kuchh palTa jo hona nahin tha phir wo hua
mumkin tha jahan tak koshish ki par bach na sake ilzam se hum
kuchh kaam na aaya jazba-e-dil be-sud KHulus-e-shauq 'zubair'
ummid wahan kis se rakkhen yaad aaen jahan dushnam se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.