hoga ham-chehra ru-e-dilbar ka
hogā ham-chehra rū-e-dilbar kā
muñh koī dekhe māh-e-anvar kā
chashm-e-tar kā jo imtihān karūñ
naam koī na le samundar kā
sang-e-ġham se na ho sakā sartāb
kohkan ban gayā thā patthar kā
ḳhud-numā.ī se kab milī fursat
aa.ina kab huzūr se sarkā
gardish-e-chashm idhar bhī ai saaqī
na karūñgā savāl sāġhar kā
kishvar-e-faqr be-takalluf hai
ek hai hukm ḳhāk-e-vāfar kā
mujh ko salmān kī qasam ai 'rashk'
banda-e-kam-tarīñ huuñ bū-zar kā
hoga ham-chehra ru-e-dilbar ka
munh koi dekhe mah-e-anwar ka
chashm-e-tar ka jo imtihan karun
nam koi na le samundar ka
sang-e-gham se na ho saka sartab
kohkan ban gaya tha patthar ka
KHud-numai se kab mili fursat
aaina kab huzur se sarka
gardish-e-chashm idhar bhi ai saqi
na karunga sawal saghar ka
kishwar-e-faqr be-takalluf hai
ek hai hukm KHak-e-wafar ka
mujh ko salman ki qasam ai 'rashk'
banda-e-kam-tarin hun bu-zar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.