hoga kisi ke husn ka sauda yahin kahin
hogā kisī ke husn kā saudā yahīñ kahīñ
yūsuf ḳharīd legī zuleḳhā yahīñ kahīñ
shāyad idhar udhar paḌī hoñ ab bhī kirchiyāñ
TuuTā thā āñkhoñ kā koī sapnā yahīñ kahīñ
ahl-e-junūñ ke naqsh-e-kaf-e-pā yahāñ pe haiñ
honā to chāhiye koī sahrā yahīñ kahīñ
hairat hai dekh kar ki jahāñ uḌ rahī hai ḳhaak
bahtā thā mere ḳhvāb kā dariyā yahīñ kahīñ
ḳhushbū usī kī aaj fazāoñ meñ hai ghulī
ummīd hai 'suman' ki vo hogā yahīñ kahīñ
hoga kisi ke husn ka sauda yahin kahin
yusuf KHarid legi zuleKHa yahin kahin
shayad idhar udhar paDi hon ab bhi kirchiyan
TuTa tha aankhon ka koi sapna yahin kahin
ahl-e-junun ke naqsh-e-kaf-e-pa yahan pe hain
hona to chahiye koi sahra yahin kahin
hairat hai dekh kar ki jahan uD rahi hai KHak
bahta tha mere KHwab ka dariya yahin kahin
KHushbu usi ki aaj fazaon mein hai ghuli
ummid hai 'suman' ki wo hoga yahin kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.