honT par KHamoshiyan rakkhi huin
hoñT par ḳhāmoshiyāñ rakkhī huiiñ
harf par haiñ taḳhtiyāñ rakkhī huiiñ
jal rahī hai raat ghar ke sahn meñ
taaq meñ haiñ battiyāñ rakkhī huiiñ
chhū rahī haiñ rang merī aañkh kā
botaloñ meñ titliyāñ rakkhī huiiñ
jhāñktī haiñ sab kitābeñ shelf se
mez par haiñ uñgliyāñ rakkhī huiiñ
bah ga.ī haiñ gahre paanī meñ kahīñ
sāhiloñ par kashtiyāñ rakkhī huiiñ
jhaḌ chuke haiñ phuul aur patte magar
peḌ par haiñ Tahniyāñ rakkhī huiiñ
honT par KHamoshiyan rakkhi huin
harf par hain taKHtiyan rakkhi huin
jal rahi hai raat ghar ke sahn mein
taq mein hain battiyan rakkhi huin
chhu rahi hain rang meri aankh ka
botalon mein titliyan rakkhi huin
jhankti hain sab kitaben shelf se
mez par hain ungliyan rakkhi huin
bah gai hain gahre pani mein kahin
sahilon par kashtiyan rakkhi huin
jhaD chuke hain phul aur patte magar
peD par hain Tahniyan rakkhi huin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.