honTon mein sach baat daba lete hain log
hoñToñ meñ sach baat dabā lete haiñ log
apne man kā paap chhupā lete haiñ log
sadiyoñ se ham vīrāne meñ rahte haiñ
jaane kaise shahr basā lete haiñ log
ham to us kā man bhī jiit nahīñ paa.e
patthar ke bhagvān jagā lete haiñ log
āñkheñ nīchī kar ke apnī raah chalo
palkoñ se alfāz churā lete haiñ log
ek hamīñ haiñ kāñToñ ko muhtāj 'zafar'
phūloñ se gul-dān sajā lete haiñ log
honTon mein sach baat daba lete hain log
apne man ka pap chhupa lete hain log
sadiyon se hum virane mein rahte hain
jaane kaise shahr basa lete hain log
hum to us ka man bhi jit nahin pae
patthar ke bhagwan jaga lete hain log
aankhen nichi kar ke apni rah chalo
palkon se alfaz chura lete hain log
ek hamin hain kanTon ko muhtaj 'zafar'
phulon se gul-dan saja lete hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.