honTon par sahra rahta hai aankh mein khaara pani
hoñToñ par sahrā rahtā hai aañkh meñ khārā paanī
ek kinārā aag hai merā ek kināra paanī
sūkhe peḌ aur pyāsī āñkheñ āsmān ko dekheñ
miTTī meñ jā kar chhup baiThā dhuup kā maarā paanī
chaak kī is gardish ne māh-o-sāl lapeT liye
kūza-gar kī saarī pūñjī miTTī gaarā paanī
ātish-gīr masāfat hai aur ik ristā mashkīza
kab tak saath rahegā āḳhir ye bechāra paanī
aañkh ke bahte ashkoñ se hī pyaas bujhānī hogī
hijr ke tapte sahrā meñ hai sirf sahārā paanī
kaun galī se guzrūñ aur maiñ kaise tujh tak aa.uuñ
bastī saarī daldal hai aur rasta saarā paanī
sahrā ko hai yaad abhī tak pyaas kī fat.h-e-kāmil
zulm ko kaise maat huī aur kaise haarā paanī
honTon par sahra rahta hai aankh mein khaara pani
ek kinara aag hai mera ek kinara pani
sukhe peD aur pyasi aankhen aasman ko dekhen
miTTi mein ja kar chhup baiTha dhup ka mara pani
chaak ki is gardish ne mah-o-sal lapeT liye
kuza-gar ki sari punji miTTi gara pani
aatish-gir masafat hai aur ek rista mashkiza
kab tak sath rahega aaKHir ye bechaara pani
aankh ke bahte ashkon se hi pyas bujhani hogi
hijr ke tapte sahra mein hai sirf sahaara pani
kaun gali se guzrun aur main kaise tujh tak aaun
basti sari daldal hai aur rasta sara pani
sahra ko hai yaad abhi tak pyas ki fath-e-kaamil
zulm ko kaise mat hui aur kaise haara pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.