hosh baqi na raha hath se iman gaya
hosh baqi na raha hath se iman gaya
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
hosh baaqī na rahā haath se īmān gayā
jo gayā bazm se terī vo pareshān gayā
un se dil mil gayā ulfat kā maza jaan gayā
vo mujhe achchhī tarah maiñ unheñ pahchān gayā
jin ke dam se thī bahār uTh ga.e vo ahl-e-chaman
dil ke bahlāne kā ab āḳhirī sāmān gayā
aarzū diid kī puurī na huī tā-dam-e-marg
terā āshiq tire kūche se pur-armān gayā
ham taḌapte rahe aur aap ne pūchhā bhī nahīñ
qasmeñ kyā ho ga.iiñ vo sab kahāñ armān gayā
aisā nārāz huā ḳhvāb meñ bhī aatā nahīñ
baat karne kā bhī us but se ab imkān gayā
sar tirī nazr kiyā ho ga.ī takmīl-e-vafā
ai sitamgar mire sar se tirā ehsān gayā
zer-e-turbat bhī taḌaptī rahī merī mayyat
dil se mere na tire ishq kā tūfān gayā
paañv shal ho ga.e lekin na pata terā milā
justujū meñ tirī maiñ tā-had-e-imkān gayā
zikr va.ade kā zabāñ par jo 'fazā' kī aaya
baat itnī sī thī lekin vo burā maan gayā
hosh baqi na raha hath se iman gaya
jo gaya bazm se teri wo pareshan gaya
un se dil mil gaya ulfat ka maza jaan gaya
wo mujhe achchhi tarah main unhen pahchan gaya
jin ke dam se thi bahaar uTh gae wo ahl-e-chaman
dil ke bahlane ka ab aaKHiri saman gaya
aarzu did ki puri na hui ta-dam-e-marg
tera aashiq tere kuche se pur-arman gaya
hum taDapte rahe aur aap ne puchha bhi nahin
qasmen kya ho gain wo sab kahan arman gaya
aisa naraaz hua KHwab mein bhi aata nahin
baat karne ka bhi us but se ab imkan gaya
sar teri nazr kiya ho gai takmil-e-wafa
ai sitamgar mere sar se tera ehsan gaya
zer-e-turbat bhi taDapti rahi meri mayyat
dil se mere na tere ishq ka tufan gaya
panw shal ho gae lekin na pata tera mila
justuju mein teri main ta-had-e-imkan gaya
zikr wade ka zaban par jo 'faza' ki aaya
baat itni si thi lekin wo bura man gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.