hosh ganwa dun jis ko pi kar wo mai nahin maiKHane mein
hosh ganwa dun jis ko pi kar wo mai nahin maiKHane mein
Shashank Singh Thakur Saahil
MORE BYShashank Singh Thakur Saahil
hosh gañvā duuñ jis ko pī kar vo mai nahīñ maiḳhāne meñ
mujh ko ashk milāne hoñge apne har paimāne meñ
aaj ke din kā vaqt muqarrar us ne kiyā hai milne kā
dekheñ kitnī der bachī hai aaj qayāmat aane meñ
tere hone se ghar merā mahkā mahkā rahtā thā
tū jo nahīñ to ab rahtā huuñ jaise ik vīrāne meñ
jā maiñ ne āzād kiyā ab tujh ko tere va.adoñ se
tujh ko bhī āsānī hogī mujh ko chhoḌ ke jaane meñ
ab to āñkheñ ḳhushk huī haiñ us kī yaad meñ ro ro kar
koī batā.e mujh ko kitnī der hai us ke aane meñ
vo to ḳhush ho kar sunte haiñ merī mohabbat kā qissa
merā dam niklā jaatā hai dil kā haal sunāne meñ
'sāhil' behtar hai rakh le siine meñ chhupā kar ġham apnā
varna rusvā ho jā.egā dil ke zaḳhm dikhāne meñ
hosh ganwa dun jis ko pi kar wo mai nahin maiKHane mein
mujh ko ashk milane honge apne har paimane mein
aaj ke din ka waqt muqarrar us ne kiya hai milne ka
dekhen kitni der bachi hai aaj qayamat aane mein
tere hone se ghar mera mahka mahka rahta tha
tu jo nahin to ab rahta hun jaise ek virane mein
ja main ne aazad kiya ab tujh ko tere wadon se
tujh ko bhi aasani hogi mujh ko chhoD ke jaane mein
ab to aankhen KHushk hui hain us ki yaad mein ro ro kar
koi batae mujh ko kitni der hai us ke aane mein
wo to KHush ho kar sunte hain meri mohabbat ka qissa
mera dam nikla jata hai dil ka haal sunane mein
'sahil' behtar hai rakh le sine mein chhupa kar gham apna
warna ruswa ho jaega dil ke zaKHm dikhane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.