hosh jab jae to pyare bhi kahan dikhte hain
hosh jab jaa.e to pyāre bhī kahāñ dikhte haiñ
phire dariyā ko kināre bhī kahāñ dikhte haiñ
jab murīdī hī kisī raat kī kar lī jaa.e
aise meñ din ke ishāre bhī kahāñ dikhte haiñ
aap ke saath to ham dekh liyā karte the
ab hameñ chāñd sitāre bhī kahāñ dikhte haiñ
kandhe phir chaar hoñ chhe aaTh ki das bārah hoñ
mar ga.e hoñ to sahāre bhī kahāñ dikhte haiñ
jo kabhī dard ko bhī dekh liyā karte the
ab unheñ dard ke maare bhī kahāñ dikhte haiñ
hosh jab jae to pyare bhi kahan dikhte hain
phire dariya ko kinare bhi kahan dikhte hain
jab muridi hi kisi raat ki kar li jae
aise mein din ke ishaare bhi kahan dikhte hain
aap ke sath to hum dekh liya karte the
ab hamein chand sitare bhi kahan dikhte hain
kandhe phir chaar hon chhe aaTh ki das barah hon
mar gae hon to sahaare bhi kahan dikhte hain
jo kabhi dard ko bhi dekh liya karte the
ab unhen dard ke mare bhi kahan dikhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.