hosh jab paband-e-hasrat ho gaya
hosh jab pāband-e-hasrat ho gayā
naam majbūrī kā ulfat ho gayā
jaan denā jān-e-‘ishrat ho gayā
dekhnā un kā qayāmat ho gayā
'ishq jab rang-e-tabī’at ho gayā
diid kā chaska musībat ho gayā
dekh uThtī 'umr kī nuz.hat ke saath
naaz tasvīr-e-qayāmat ho gayā
ibtilā-e-dilbarī meñ aañkh kī
ik zamāna ḳhūb-sūrat ho gayā
but-kade kī dilkashī ke sāmne
kā’ba-e-dil naqsh-e-hairat ho gayā
sāġhar-o-bāda se ho kar muhtariz
hosh kā chāhā akārat ho gayā
barhaman rāh-e-tarīqat meñ rahā
shaiḳh mar kar rukn-e-jannat ho gayā
diid kā saudā huā jab se girāñ
sar jhukānā bhī 'ibādat ho gayā
'shād' ho kar dekhte ho tum hameñ
yuuñ nuzūl-e-abr-e-rahmat ho gayā
hosh jab paband-e-hasrat ho gaya
nam majburi ka ulfat ho gaya
jaan dena jaan-e-‘ishrat ho gaya
dekhna un ka qayamat ho gaya
'ishq jab rang-e-tabi’at ho gaya
did ka chaska musibat ho gaya
dekh uThti 'umr ki nuzhat ke sath
naz taswir-e-qayamat ho gaya
ibtila-e-dilbari mein aankh ki
ek zamana KHub-surat ho gaya
but-kade ki dilkashi ke samne
ka’ba-e-dil naqsh-e-hairat ho gaya
saghar-o-baada se ho kar muhtariz
hosh ka chaha akarat ho gaya
barhaman rah-e-tariqat mein raha
shaiKH mar kar rukn-e-jannat ho gaya
did ka sauda hua jab se giran
sar jhukana bhi 'ibaadat ho gaya
'shad' ho kar dekhte ho tum hamein
yun nuzul-e-abr-e-rahmat ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.