hosh-mandon ko bhi madhosh bana deta hai
hosh-mandoñ ko bhī mad.hosh banā detā hai
'ishq bistar ko bhī āġhosh banā detā hai
apnī raftār-o-zehānat kā takabbur aksar
dauḌne vāloñ ko ḳhargosh banā detā hai
tum ko mā'lūm hai us shaḳhs kī āñkhoñ kā tilism
pīr-zādoñ ko bhī mai-nosh banā detā hai
mujh se ḳhud.dār se hogī na ġhulāmī terī
kaam kirdār ko pā-posh banā detā hai
daur-e-tanhā.ī meñ dil khol ke rone kā 'amal
ḳhāna-e-dil ko subuk-dosh banā detā hai
hārne lagtā huuñ maiñ 'ishq ke āzār se jab
dard-e-hijrāñ mujhe pur-josh banā detā hai
hosh-mandon ko bhi madhosh bana deta hai
'ishq bistar ko bhi aaghosh bana deta hai
apni raftar-o-zehanat ka takabbur aksar
dauDne walon ko KHargosh bana deta hai
tum ko ma'lum hai us shaKHs ki aankhon ka tilism
pir-zadon ko bhi mai-nosh bana deta hai
mujh se KHuddar se hogi na ghulami teri
kaam kirdar ko pa-posh bana deta hai
daur-e-tanhai mein dil khol ke rone ka 'amal
KHana-e-dil ko subuk-dosh bana deta hai
haarne lagta hun main 'ishq ke aazar se jab
dard-e-hijran mujhe pur-josh bana deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.