hosh mein aane ka andaz naya mange hai
hosh meñ aane kā andāz nayā māñge hai
ek be-ḳhud tire dāman kī havā māñge hai
āshiqī sabr-talab hogī kabhī sunte haiñ
kohkan aaj kā phūloñ kī qabā māñge hai
tujh se meñ bhiik mohabbat kī bhī māñgūñ kaise
kab koī laash ke jiine kī duā māñge hai
dast-kash aap jafā se na hoñ itnā hai bahut
kaun kam-zarf vafāoñ kā sila māñge hai
fasl-e-gul kuchh to kamī hai jo chaman kā har phuul
surḳhī-e-ḳhūn-e-shahīdān-e-vafā māñge hai
shauq-e-manzil use ab dekhiye le jaa.e kidhar
raah par ḳhaas 'vasī' ābla-pā māñge hai
hosh mein aane ka andaz naya mange hai
ek be-KHud tere daman ki hawa mange hai
aashiqi sabr-talab hogi kabhi sunte hain
kohkan aaj ka phulon ki qaba mange hai
tujh se mein bhik mohabbat ki bhi mangun kaise
kab koi lash ke jine ki dua mange hai
dast-kash aap jafa se na hon itna hai bahut
kaun kam-zarf wafaon ka sila mange hai
fasl-e-gul kuchh to kami hai jo chaman ka har phul
surKHi-e-KHun-e-shahidan-e-wafa mange hai
shauq-e-manzil use ab dekhiye le jae kidhar
rah par KHas 'wasi' aabla-pa mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.