hosh mein aata hai insan Thokaren khane ke baad
hosh meñ aatā hai insāñ Thokareñ khāne ke baa'd
din nikaltā hai añdherī raat Dhal jaane ke baa'd
har koī duniyā meñ apne ko samajhtā hai ḳhudā
ek dīvāna paḌā hai ek dīvāne ke baa'd
aap āñkhoñ se pilā.eñ aur phir dekheñ zarā
ek paimāna bharegā ek paimāne ke baa'd
kaun kahtā hai nahīñ hai 'ishq merā kāmyāb
zikr karte haiñ vo merā apne afsāne ke baa'd
ek parda bhī rahegā dil-lagī kī dil-lagī
ek masjid bhī banāo ek maiḳhāne ke baa'd
be-tukī kartā hai bāteñ jab talak piitā nahīñ
hosh meñ aatā hai vā'iz jaam chhalkāne ke baa'd
kyā kare koī bharosa rahnumāoñ par 'kañval'
ḳhud bahak jaate haiñ aksar ham ko samjhāne ke baa'd
hosh mein aata hai insan Thokaren khane ke ba'd
din nikalta hai andheri raat Dhal jaane ke ba'd
har koi duniya mein apne ko samajhta hai KHuda
ek diwana paDa hai ek diwane ke ba'd
aap aankhon se pilaen aur phir dekhen zara
ek paimana bharega ek paimane ke ba'd
kaun kahta hai nahin hai 'ishq mera kaamyab
zikr karte hain wo mera apne afsane ke ba'd
ek parda bhi rahega dil-lagi ki dil-lagi
ek masjid bhi banao ek maiKHane ke ba'd
be-tuki karta hai baaten jab talak pita nahin
hosh mein aata hai wa'iz jam chhalkane ke ba'd
kya kare koi bharosa rahnumaon par 'kanwal'
KHud bahak jate hain aksar hum ko samjhane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.