hosh-o-KHirad ke gham se begana ho gaya hun
hosh-o-ḳhirad ke ġham se begāna ho gayā huuñ
maiñ terī aarzū meñ dīvāna ho gayā huuñ
ifshā huā hai jab se ulfat kā raaz merā
har shaḳhs kī zabāñ par afsāna ho gayā huuñ
jī bhar ke mere dil par jaur-o-sitam karo tum
maiñ lazzat-e-jafā se an-jānā ho gayā huuñ
ye bebasī hai merī yā be-hisī hai merī
duniyā kī har ḳhushī se begāna ho gayā huuñ
raushan hai dil kī duniyā jis ke jamāl-e-ruḳh se
us shama-e-ārzū kā parvāna ho gayā huuñ
pūchho na mujh se logo rūdād-e-zindagānī
gulshan thā pyaar kā ab vīrāna ho gayā huuñ
tum 'āshnā' ho mujh se tum bhī to kuchh batāo
har shaḳhs kah rahā hai dīvāna ho gayā huuñ
hosh-o-KHirad ke gham se begana ho gaya hun
main teri aarzu mein diwana ho gaya hun
ifsha hua hai jab se ulfat ka raaz mera
har shaKHs ki zaban par afsana ho gaya hun
ji bhar ke mere dil par jaur-o-sitam karo tum
main lazzat-e-jafa se an-jaana ho gaya hun
ye bebasi hai meri ya be-hisi hai meri
duniya ki har KHushi se begana ho gaya hun
raushan hai dil ki duniya jis ke jamal-e-ruKH se
us shama-e-arzu ka parwana ho gaya hun
puchho na mujh se logo rudad-e-zindagani
gulshan tha pyar ka ab virana ho gaya hun
tum 'ashna' ho mujh se tum bhi to kuchh batao
har shaKHs kah raha hai diwana ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.