hosh-o-KHirad se aap hi begana ho gaya
hosh-o-ḳhirad se aap hī begāna ho gayā
uTThī nigāh-e-nāz maiñ dīvāna ho gayā
duniyā meñ rah ke kis kā kare koī e.atibār
jab apnā dil hī aap se begāna ho gayā
un kī nazar kā faiz hai bas aur kuchh nahīñ
farzāngī meñ koī jo dīvāna ho gayā
sar un ke āstāne pe jhuktā nahīñ hai ab
andāz-e-bandagī bhī gadāyāna ho gayā
un kī navāzishoñ kā ujālā kaho use
jo anjuman meñ jalva-e-jānāna ho gayā
saaqī kī chashm-e-nāz kā allah re ehtirām
nazroñ meñ saarā mai-kada paimāna ho gayā
'anjum' nahīñ thā kuchh bhī sivā dil ke mere paas
ab dekhiye use bhī to dīvāna ho gayā
hosh-o-KHirad se aap hi begana ho gaya
uTThi nigah-e-naz main diwana ho gaya
duniya mein rah ke kis ka kare koi eatibar
jab apna dil hi aap se begana ho gaya
un ki nazar ka faiz hai bas aur kuchh nahin
farzangi mein koi jo diwana ho gaya
sar un ke aastane pe jhukta nahin hai ab
andaz-e-bandagi bhi gadayana ho gaya
un ki nawazishon ka ujala kaho use
jo anjuman mein jalwa-e-jaanana ho gaya
saqi ki chashm-e-naz ka allah re ehtiram
nazron mein sara mai-kada paimana ho gaya
'anjum' nahin tha kuchh bhi siwa dil ke mere pas
ab dekhiye use bhi to diwana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.