hosh rakhna baDe zalim hain zamane wale
hosh rakhnā baḌe zālim haiñ zamāne vaale
aag paanī meñ lagā deñge lagāne vaale
chand dānoñ ke liye bhuul na karnā hargiz
kam nahīñ log yahāñ jaal bichhāne vaale
kis kā shikva kareñ ham ġhair to hote hī haiñ
ghar kī añgnā.ī meñ dīvār uThāne vaale
ham mohabbat meñ tasanno' ke nahīñ haiñ qaa.il
shart hai dil bhī mile haath milāne vaale
aaj tum ko jo anal-haq kā sabaq dete haiñ
kal yahī hoñge tumheñ daar pe laane vaale
hosh rakhna baDe zalim hain zamane wale
aag pani mein laga denge lagane wale
chand danon ke liye bhul na karna hargiz
kam nahin log yahan jal bichhane wale
kis ka shikwa karen hum ghair to hote hi hain
ghar ki angnai mein diwar uThane wale
hum mohabbat mein tasanno' ke nahin hain qail
shart hai dil bhi mile hath milane wale
aaj tum ko jo anal-haq ka sabaq dete hain
kal yahi honge tumhein dar pe lane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.