hosh us par kisi ka bas na chala
'hosh' us par kisī kā bas na chalā
vaqt jab aa gayā to phir na Talā
soz-e-bātin ke haiñ ye sab jalve
aag raushan hai le charāġh jalā
na chalā dil pe zindagī kā fareb
saḳht lohā is aañch se na galā
kah rahā thā gadā-e-rāh-nashīn
jo bhalā thā huā usī kā bhalā
vo mirā mudda.ā samajh ke rahe
zabt-e-fariyād se na kaam chalā
rāz-e-hastī na khul sakā us par
dil jo apnī hī aag meñ na jalā
kyā bahāroñ kā e.atibār ai 'hosh'
har-nafas taak meñ hai barq-e-balā
'hosh' us par kisi ka bas na chala
waqt jab aa gaya to phir na Tala
soz-e-baatin ke hain ye sab jalwe
aag raushan hai le charagh jala
na chala dil pe zindagi ka fareb
saKHt loha is aanch se na gala
kah raha tha gada-e-rah-nashin
jo bhala tha hua usi ka bhala
wo mera muddaa samajh ke rahe
zabt-e-fariyaad se na kaam chala
raaz-e-hasti na khul saka us par
dil jo apni hi aag mein na jala
kya bahaaron ka eatibar ai 'hosh'
har-nafas tak mein hai barq-e-bala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.