hota bhi hai aisa kabhi aisa nahin hota
hotā bhī hai aisā kabhī aisā nahīñ hotā
ham jis se mileñ raah meñ achchhā nahīñ hotā
paanī meñ agar dam ho banā letā hai rasta
tālāb ke jaisā kahīñ Thahrā nahīñ hotā
patte jo uḌe phirte haiñ be-Thor Thikāne
shāḳhoñ se lage rahte to aisā nahīñ hotā
tā-umr kamāne se kise miltī hai fursat
būḌhā bhī mire daur kā būḌhā nahīñ hotā
ham Duub ke ubhre to ye andāza huā hai
himmat se baḌā koī sahārā nahīñ hotā
jis peḌ pe sāñpoñ kā guzar hotā hai 'nusrat'
us peḌ pe chiḌiyoñ kā baserā nahīñ hotā
hota bhi hai aisa kabhi aisa nahin hota
hum jis se milen rah mein achchha nahin hota
pani mein agar dam ho bana leta hai rasta
talab ke jaisa kahin Thahra nahin hota
patte jo uDe phirte hain be-Thor Thikane
shaKHon se lage rahte to aisa nahin hota
ta-umr kamane se kise milti hai fursat
buDha bhi mere daur ka buDha nahin hota
hum Dub ke ubhre to ye andaza hua hai
himmat se baDa koi sahaara nahin hota
jis peD pe sanpon ka guzar hota hai 'nusrat'
us peD pe chiDiyon ka basera nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.