hota mumkin to fasane se miTa dete tujhe
hotā mumkin to fasāne se miTā dete tujhe
tū agar shaḳhs hī hotā to bhulā dete tujhe
tujh se milne kā ḳhayāl aatā rahā jaatā rahā
ye talab dā.imī hotī to batā dete tujhe
na mayassar thī ye fursat ki tujhe yaad kareñ
aur na thī utnī suhūlat ki bhulā dete tujhe
ham ne jo ḳhaas tire hī liye likkhe the vo she'r
itne bhī ḳhaas nahīñ the ki sunā dete tujhe
ḳhush huā jaatā hai tū jiit ke kis se 'fānī'
vo to khele hī nahīñ the jo harā dete tujhe
hota mumkin to fasane se miTa dete tujhe
tu agar shaKHs hi hota to bhula dete tujhe
tujh se milne ka KHayal aata raha jata raha
ye talab daimi hoti to bata dete tujhe
na mayassar thi ye fursat ki tujhe yaad karen
aur na thi utni suhulat ki bhula dete tujhe
hum ne jo KHas tere hi liye likkhe the wo she'r
itne bhi KHas nahin the ki suna dete tujhe
KHush hua jata hai tu jit ke kis se 'fani'
wo to khele hi nahin the jo hara dete tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.