hoti hai tamanna tah-o-baala mere aa ge
hotī hai tamanna tah-o-bālā mire aa ge
dil hai ki huā jaatā hai rusvā mire aage
ḳhud-bīnī ḳhud-ārā.ī to hai zeb tujhī ko
juz tere nahīñ koī bhī aisā mire aage
ġham aur ḳhushī sab ko mayassar hai jahāñ meñ
chaḌhtā hai utartā hai ye dariyā mire aage
shohrat kī bulandī bhī hai do pal kā tamāshā
kis baat pe itrātī ye duniyā mire aage
duniyā bhī tujhī se mirī uqbā bhī tujhī se
har samt tū hī ka.aba kalīsā mire aage
pahle to sar-e-ām milā karte the aur ab
ḳhalvat meñ bhī kar lete haiñ pardā mire aage
kahne kā bhī aatā nahīñ har ik ko salīqa
hai ahl-e-nazar kā yahī kahnā mire aage
haañ naam to mai-ḳhvāroñ meñ hai merā bhī saaqī
auroñ ko ziyāda hai zarā sā mire aage
hoti hai tamanna tah-o-baala mere aa ge
dil hai ki hua jata hai ruswa mere aage
KHud-bini KHud-arai to hai zeb tujhi ko
juz tere nahin koi bhi aisa mere aage
gham aur KHushi sab ko mayassar hai jahan mein
chaDhta hai utarta hai ye dariya mere aage
shohrat ki bulandi bhi hai do pal ka tamasha
kis baat pe itraati ye duniya mere aage
duniya bhi tujhi se meri uqba bhi tujhi se
har samt tu hi kaba kalisa mere aage
pahle to sar-e-am mila karte the aur ab
KHalwat mein bhi kar lete hain parda mere aage
kahne ka bhi aata nahin har ek ko saliqa
hai ahl-e-nazar ka yahi kahna mere aage
han nam to mai-KHwaron mein hai mera bhi saqi
auron ko ziyaada hai zara sa mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.