hoti hai unki hum pe inayat kabhi kabhi
hotī hai un kī ham pe ināyat kabhī kabhī
aatī nazar hai chāñd sī sūrat kabhī kabhī
ġhairoñ ke mashvare ke liye vaqf raat din
mujh se magar hai milne kī fursat kabhī kabhī
ġhusse meñ un ko dekh ke mujh ko gumāñ huā
aatī hai is tarah bhī qayāmat kabhī kabhī
va.ade vo ham se toḌ ke ġhairoñ ke ho ga.e
aatī to hogī dil meñ nadāmat kabhī kabhī
dīdār un kā chashm-e-zadan meñ huā to hai
taqdīr se vo aa.ī hai saa.at kabhī kabhī
chhup jaanā un kā sharm se chilman kī aaḌ meñ
badnām yuuñ bhī kartī hai ulfat kabhī kabhī
ulfat pe marne vāloñ pe rotī hai bekasī
dekhī hai ham ne aisī bhī niyyat kabhī kabhī
'rāhī' ab un se shikva-e-bedād kar to lo
hotī hai dil-jaloñ ko shikāyat kabhī kabhī
hoti hai un ki hum pe inayat kabhi kabhi
aati nazar hai chand si surat kabhi kabhi
ghairon ke mashware ke liye waqf raat din
mujh se magar hai milne ki fursat kabhi kabhi
ghusse mein un ko dekh ke mujh ko guman hua
aati hai is tarah bhi qayamat kabhi kabhi
wade wo hum se toD ke ghairon ke ho gae
aati to hogi dil mein nadamat kabhi kabhi
didar un ka chashm-e-zadan mein hua to hai
taqdir se wo aai hai saat kabhi kabhi
chhup jaana un ka sharm se chilman ki aaD mein
badnam yun bhi karti hai ulfat kabhi kabhi
ulfat pe marne walon pe roti hai bekasi
dekhi hai hum ne aisi bhi niyyat kabhi kabhi
'rahi' ab un se shikwa-e-bedad kar to lo
hoti hai dil-jalon ko shikayat kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.