hoti nahin bimar-e-mohabbat ko shifa bhi
hotī nahīñ bīmār-e-mohabbat ko shifā bhī
ye dard huā kartā hai ḳhud apnī davā bhī
sab un ke sitam mere liye ain karam haiñ
hai un kī jafāoñ meñ ik andāz-e-vafā bhī
ik rabt bahut hai na sahī chashm-e-ināyat
mujh ko nahīñ mahrūmī-e-qismat kā gila bhī
be-vaj.h nahīñ sahme hue ahl-e-gulistāñ
badlī nazar aatī hai gulistāñ kī fazā bhī
naġhmāt-e-tarab-ḳhez bahut ḳhuub haiñ lekin
mumkin ho to sun TuuTe hue dil kī sadā bhī
us sāhib-e-himmat kā hai jiinā mire nazdīk
jiine kī duā detī hai ḳhud jis ko qazā bhī
har-chand hai nazroñ se nihāñ dost kā jalva
ho dīda-e-bīnā to vo hai jalva-numā bhī
ḳhvāhish hai karam kī na tamannā-e-navāzish
uThte nahīñ ab haath kabhī bahr-e-duā bhī
be-jins amal rāhat-e-uqbā ke haiñ tālib
kyā ḳhuub hai ḳhush-fahmī-e-arbāb-e-safā bhī
taslīm ki āsāñ hai 'qamar' da.avā-e-ulfat
āsāñ to nahīñ jāda-e-taslīm-o-razā bhī
hoti nahin bimar-e-mohabbat ko shifa bhi
ye dard hua karta hai KHud apni dawa bhi
sab un ke sitam mere liye ain karam hain
hai un ki jafaon mein ek andaz-e-wafa bhi
ek rabt bahut hai na sahi chashm-e-inayat
mujh ko nahin mahrumi-e-qismat ka gila bhi
be-wajh nahin sahme hue ahl-e-gulistan
badli nazar aati hai gulistan ki faza bhi
naghmat-e-tarab-KHez bahut KHub hain lekin
mumkin ho to sun TuTe hue dil ki sada bhi
us sahib-e-himmat ka hai jina mere nazdik
jine ki dua deti hai KHud jis ko qaza bhi
har-chand hai nazron se nihan dost ka jalwa
ho dida-e-bina to wo hai jalwa-numa bhi
KHwahish hai karam ki na tamanna-e-nawazish
uThte nahin ab hath kabhi bahr-e-dua bhi
be-jins amal rahat-e-uqba ke hain talib
kya KHub hai KHush-fahmi-e-arbab-e-safa bhi
taslim ki aasan hai 'qamar' dawa-e-ulfat
aasan to nahin jada-e-taslim-o-raza bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.