hoti rahti hai KHalish dard ki aksar dil mein
hotī rahtī hai ḳhalish dard kī aksar dil meñ
rah gayā ho na kahīñ TuuT ke nashtar dil meñ
aatā rahtā hai tasavvur tirī mast āñkhoñ kā
chalte rahte haiñ mai-e-nāb ke sāġhar dil meñ
ḳhvāb meñ ḳhuub liye ham ne tasavvur ke maze
aaj mehmān rahā hai koī shab bhar dil meñ
jo mazā terī jafā meñ hai kisī shai meñ nahīñ
ghar banā lete haiñ ye ḳhanjar-o-nashtar dil meñ
kabhī hañstā huuñ tirī dhun meñ kabhī rotā huuñ
yaas rahtī hai tamanna ke barābar dil meñ
ġham nahīñ shauq nahīñ dard nahīñ kuchh bhī nahīñ
jhuuT gar jānte ho dekh lo aa kar dil meñ
tū sahī aag lagā duuñ maiñ qayāmat kar duuñ
dil-jale rakhte haiñ sarmāya-e-mahshar dil meñ
ab khulā rāz-e-qarīb-e-rag-e-jāñ kā uqda
jis ko ham DhūñDte phirte haiñ vo hai har dil meñ
ye baḌā husn hai tasvīr meñ us kī 'hāmid'
ghar banā letī hai āñkhoñ se utar kar dil meñ
hoti rahti hai KHalish dard ki aksar dil mein
rah gaya ho na kahin TuT ke nashtar dil mein
aata rahta hai tasawwur teri mast aankhon ka
chalte rahte hain mai-e-nab ke saghar dil mein
KHwab mein KHub liye hum ne tasawwur ke maze
aaj mehman raha hai koi shab bhar dil mein
jo maza teri jafa mein hai kisi shai mein nahin
ghar bana lete hain ye KHanjar-o-nashtar dil mein
kabhi hansta hun teri dhun mein kabhi rota hun
yas rahti hai tamanna ke barabar dil mein
gham nahin shauq nahin dard nahin kuchh bhi nahin
jhuT gar jaante ho dekh lo aa kar dil mein
tu sahi aag laga dun main qayamat kar dun
dil-jale rakhte hain sarmaya-e-mahshar dil mein
ab khula raaz-e-qarib-e-rag-e-jaan ka uqda
jis ko hum DhunDte phirte hain wo hai har dil mein
ye baDa husn hai taswir mein us ki 'hamid'
ghar bana leti hai aankhon se utar kar dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.