Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

howe mashhur na kyon aashiq-e-badnam bura

Hakeem Aagha Jan Aish

howe mashhur na kyon aashiq-e-badnam bura

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    hove mash.hūr na kyoñ āshiq-e-badnām burā

    ishq kahte haiñ jise hai ye bahut kaam burā

    dekheñ anjām ho kyā us ḳhudā ḳhair kare

    dām-e-ulfat meñ phañsā hai dil-e-nākām burā

    bhī āshiq ho kisī par to khule haal tujhe

    dil lagā hotā hai sun o but-e-ḳhud-kām burā

    nañg-o-ār un ko na ho milne se mere kyuuñ kar

    sach hai kambaḳht is ulfat hai naam burā

    'aish' āġhāz-e-mohabbat meñ thā dil ko kahā

    dekh hotā hai bure kaam anjām burā

    howe mashhur na kyon aashiq-e-badnam bura

    ishq kahte hain jise hai ye bahut kaam bura

    dekhen anjam ho kya us ka KHuda KHair kare

    dam-e-ulfat mein phansa hai dil-e-nakaam bura

    tu bhi aashiq ho kisi par to khule haal tujhe

    dil laga hota hai sun o but-e-KHud-kaam bura

    nang-o-ar un ko na ho milne se mere kyun kar

    sach hai kambaKHt is ulfat hi ka hai nam bura

    'aish' aaghaz-e-mohabbat hi mein tha dil ko kaha

    dekh hota hai bure kaam ka anjam bura

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now