hua chale ya ruke KHushnuma saman ho jae
huā chale yā ruke ḳhushnumā samāñ ho jaa.e
ye saat rañg kā āñchal jo bādbāñ ho jaa.e
sulag rahā huuñ ka.ī din se apne kamre meñ
darīcha kholūñ to duniyā dhuāñ dhuāñ ho jaa.e
badal ke naam sunā rakkhī hai use har baat
ye ek baat batā duuñ to rāz-dāñ ho jaa.e
maiñ apne aap ko chhoḌ aayā huuñ kahīñ pīchhe
kuchh aur tez chalūñ maiñ to kārvāñ ho jaa.e
yahīñ kahīñ vo mire saath thā maiñ sochtā huuñ
yahāñ ghaḌī do ghaḌī koī sā.ebāñ ho jaa.e
ye intishār hai tartīb-e-nau na jaan ise
ki kā.enāt kī har shai yahāñ vahāñ ho jaa.e
sarishk-e-ġham ko tabassum kī siip meñ rakhiye
ki raaz raaz rahe hāl-e-dil bayāñ ho jaa.e
paroñ pe titlī ke paiġhām likh ke bhejūñ maiñ
havā kā jhoñkā kisī din ḳhabar-rasāñ ho jaa.e
jahāñ kī riit hai kohrām machne lagtā hai
kisī ko ishq ho yā marg-e-nā-gahāñ ho jaa.e
abhī to jism mirā dhuup kī amaan meñ hai
parā.e saa.e meñ aa kar na be-amāñ ho jaa.e
hai is jahāñ kī har baat aam sī lekin
jo sachche sher meñ Dhal jaa.e dāstāñ ho jaa.e
hua chale ya ruke KHushnuma saman ho jae
ye sat rang ka aanchal jo baadban ho jae
sulag raha hun kai din se apne kamre mein
daricha kholun to duniya dhuan dhuan ho jae
badal ke nam suna rakkhi hai use har baat
ye ek baat bata dun to raaz-dan ho jae
main apne aap ko chhoD aaya hun kahin pichhe
kuchh aur tez chalun main to karwan ho jae
yahin kahin wo mere sath tha main sochta hun
yahan ghaDi do ghaDi koi saeban ho jae
ye intishaar hai tartib-e-nau na jaan ise
ki kaenat ki har shai yahan wahan ho jae
sarishk-e-gham ko tabassum ki sip mein rakhiye
ki raaz raaz rahe haal-e-dil bayan ho jae
paron pe titli ke paigham likh ke bhejun main
hawa ka jhonka kisi din KHabar-rasan ho jae
jahan ki rit hai kohram machne lagta hai
kisi ko ishq ho ya marg-e-na-gahan ho jae
abhi to jism mera dhup ki aman mein hai
parae sae mein aa kar na be-aman ho jae
hai is jahan ki har baat aam si lekin
jo sachche sher mein Dhal jae dastan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.