hua hai hukm zaKHm-e-dil purana bhul jaun
huā hai hukm zaḳhm-e-dil purānā bhuul jā.ūñ
ye merī zindagī kā hai asāsa bhuul jā.ūñ
sitam bhūlūñ karam bhūlūñ 'ajab mushkil meñ dil hai
rakhūñ maiñ yaad kyā kyā aur kyā kyā bhuul jā.ūñ
hayūlā bhī nazar aa.e agar us kā kabhī to
uThī palkeñ maiñ ghanToñ tak girānā bhuul jā.ūñ
basā luuñ dil meñ yā āñkhoñ meñ kar luuñ qaid us ko
jahāñ Thahrā.ūñ Thahrā kar Thikāna bhuul jā.ūñ
mire hāthoñ meñ aa jaa.e jo us kā haath to phir
maiñ apnī zindagī kī har tamanna bhuul jā.ūñ
mulāqāteñ mudārāteñ vo barsāteñ vo rāteñ
nahīñ mumkin ki sab bāteñ maiñ tanhā bhuul jā.ūñ
mujhe to kār-e-duniyā se nahīñ miltī hai fursat
magar jab zikr terā ho maiñ duniyā bhuul jā.ūñ
hua hai hukm zaKHm-e-dil purana bhul jaun
ye meri zindagi ka hai asasa bhul jaun
sitam bhulun karam bhulun 'ajab mushkil mein dil hai
rakhun main yaad kya kya aur kya kya bhul jaun
hayula bhi nazar aae agar us ka kabhi to
uThi palken main ghanTon tak girana bhul jaun
basa lun dil mein ya aankhon mein kar lun qaid us ko
jahan Thahraun Thahra kar Thikana bhul jaun
mere hathon mein aa jae jo us ka hath to phir
main apni zindagi ki har tamanna bhul jaun
mulaqaten mudaraaten wo barsaten wo raaten
nahin mumkin ki sab baaten main tanha bhul jaun
mujhe to kar-e-duniya se nahin milti hai fursat
magar jab zikr tera ho main duniya bhul jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.