hua hai ishq mera kaamyab barson mein
huā hai ishq mirā kāmyāb barsoñ meñ
sukūn dil ko milā hai janāb barsoñ meñ
hazāroñ dekh ke hosh-o-havās kho baiThe
nasīb hotā hai aisā shabāb barsoñ meñ
tumhāre aane se gulshan meñ aa ga.ī raunaq
khulā hai aaj nirālā gulāb barsoñ meñ
vo kyā mile ki do-ālam kī mil ga.ī daulat
ye maiñ ne aaj kiyā intiḳhāb barsoñ meñ
hazāroñ ḳhat likhe us bevafā ke naam magar
diyā na us ne kisī kā javāb barsoñ meñ
havās-o-hosh ko 'rāhī' sañbhāl kar rakhiye
huā hai koī abhī be-naqāb barsoñ meñ
hua hai ishq mera kaamyab barson mein
sukun dil ko mila hai janab barson mein
hazaron dekh ke hosh-o-hawas kho baiThe
nasib hota hai aisa shabab barson mein
tumhaare aane se gulshan mein aa gai raunaq
khula hai aaj nirala gulab barson mein
wo kya mile ki do-alam ki mil gai daulat
ye main ne aaj kiya intiKHab barson mein
hazaron KHat likhe us bewafa ke nam magar
diya na us ne kisi ka jawab barson mein
hawas-o-hosh ko 'rahi' sanbhaal kar rakhiye
hua hai koi abhi be-naqab barson mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.