Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hua hai samne aankhon ke KHandan aabaad

Hamdam Kashmiri

hua hai samne aankhon ke KHandan aabaad

Hamdam Kashmiri

MORE BYHamdam Kashmiri

    huā hai sāmne āñkhoñ ke ḳhāndāñ ābād

    makān meñ hue haiñ ka.ī makāñ ābād

    tumhārī yaad meñ ābād jism-o-jāñ mere

    tumhāre zikr se hai merī dāstāñ ābād

    ujaḌ ga.ī hai har ik samt mausam-e-gul meñ

    na bāġhbāñ hai salāmat na gulsitāñ ābād

    koī payām na koī 'atā patā un

    koī batā.e kahāñ par haiñ raftagāñ ābād

    ajiib juzv hai ye mere jism ki yahāñ

    kahīñ yaqīn hai qaa.em kahīñ gumāñ ābād

    yahī du'ā hai mirī aur yahī tamannā hai

    sadā rahe merī vaadī yahāñ vahāñ ābād

    koī bhī faisla hogā nahīñ rahe jab tak

    tumhārī teġh salāmat mirī sināñ ābād

    hua hai samne aankhon ke KHandan aabaad

    makan mein hi hue hain kai makan aabaad

    tumhaari yaad mein aabaad jism-o-jaan mere

    tumhaare zikr se hai meri dastan aabaad

    ujaD gai hai har ek samt mausam-e-gul mein

    na baghban hai salamat na gulsitan aabaad

    koi payam na koi 'ata pata un ka

    koi batae kahan par hain raftagan aabaad

    ajib juzw hai ye mere jism ka ki yahan

    kahin yaqin hai qaem kahin guman aabaad

    yahi du'a hai meri aur yahi tamanna hai

    sada rahe meri wadi yahan wahan aabaad

    koi bhi faisla hoga nahin rahe jab tak

    tumhaari tegh salamat meri sinan aabaad

    Source :
    • Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 74)
    • Author : Hamdam Kashmiri
    • Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now