hua hai ye kya kuchh samajh mein na aae
huā hai ye kyā kuchh samajh meñ na aa.e
koī bhī na us ke sivā dil ko bhaa.e
koī bhī to apnā nahīñ is jahāñ meñ
jo apne the vo bhī hue ab parā.e
na jaane ye kab se haiñ āñkhoñ meñ aañsū
koī kaash rote huoñ ko hañsā.e
nikal aa.e kāñToñ se ham bach-bachā ke
guloñ se magar ham ne haiñ zaḳhm khaa.e
nazar jab bhī aa.e hasīñ us kā chehra
to us par hī jā kar nazar Thahr jaa.e
uThīñ jab bhī un kī vo āñkheñ ġhazālī
unheñ dekh kar dil mirā Dol jaa.e
muqaddar meñ dar dar kī haiñ Thokareñ ab
hamāre hī yāroñ ne ye din dikhā.e
amar ho ga.e mar ke ulfat ke raahī
kiyā pyaar jis ne vo manzil ko paa.e
nahīñ koī bantā kisī kā jahāñ meñ
musībat meñ to chhoḌ jaate haiñ saa.e
baḌe ḳhūb-rū ho baḌe ḳhush-gulū ho
tumheñ to ḳhudā nazar-e-bad se bachā.e
taḌapte haiñ ham us kī furqat meñ 'sāġhar'
kaho us se jā kar ki ab lauT aa.e
hua hai ye kya kuchh samajh mein na aae
koi bhi na us ke siwa dil ko bhae
koi bhi to apna nahin is jahan mein
jo apne the wo bhi hue ab parae
na jaane ye kab se hain aankhon mein aansu
koi kash rote huon ko hansae
nikal aae kanTon se hum bach-bacha ke
gulon se magar hum ne hain zaKHm khae
nazar jab bhi aae hasin us ka chehra
to us par hi ja kar nazar Thahr jae
uThin jab bhi un ki wo aankhen ghazali
unhen dekh kar dil mera Dol jae
muqaddar mein dar dar ki hain Thokaren ab
hamare hi yaron ne ye din dikhae
amar ho gae mar ke ulfat ke rahi
kiya pyar jis ne wo manzil ko pae
nahin koi banta kisi ka jahan mein
musibat mein to chhoD jate hain sae
baDe KHub-ru ho baDe KHush-gulu ho
tumhein to KHuda nazar-e-bad se bachae
taDapte hain hum us ki furqat mein 'saghar'
kaho us se ja kar ki ab lauT aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.