hua hai yun mohabbat ka asar aahista aahista
huā hai yuuñ mohabbat kā asar āhista āhista
idhar āhista āhista udhar āhista āhista
harīm-e-husn ke ādāb rakh pesh-e-nazar ai dil
dhaḌak āhista āhista guzar āhista āhista
mirī āñkhoñ meñ aa dil meñ utar phir ruuh meñ kho jā
magar āhista āhista magar āhista āhista
kisī kā aur bhī mujh par karam paiham hai be-pāyāñ
agar un tak bhī pahuñchī ye ḳhabar āhista āhista
yakāyak dekhne par tāb-e-nazzāra kahāñ hogī
uThā.eñ rū-ba-rū un ke nazar āhista āhista
batāte haiñ dar-o-dīvār ke bhī kaan hote haiñ
zabāñ se naam lo merā magar āhista āhista
ho mumkin to nishāt-o-kaif-e-shab ko bhuul hī jaao
vo dekho aa rahī hai ab sahar āhista āhista
Dhalī hai shab udhar bhī niiñd kā ġhalba huā taarī
jhukī jaatī haiñ palkeñ bhī idhar āhista āhista
ise to 'fauq' jhuknā thā yahīñ par aur bhī lekin
kahāñ merā jhukā jaatā hai sar āhista āhista
hua hai yun mohabbat ka asar aahista aahista
idhar aahista aahista udhar aahista aahista
harim-e-husn ke aadab rakh pesh-e-nazar ai dil
dhaDak aahista aahista guzar aahista aahista
meri aankhon mein aa dil mein utar phir ruh mein kho ja
magar aahista aahista magar aahista aahista
kisi ka aur bhi mujh par karam paiham hai be-payan
agar un tak bhi pahunchi ye KHabar aahista aahista
yakayak dekhne par tab-e-nazzara kahan hogi
uThaen ru-ba-ru un ke nazar aahista aahista
batate hain dar-o-diwar ke bhi kan hote hain
zaban se nam lo mera magar aahista aahista
ho mumkin to nishat-o-kaif-e-shab ko bhul hi jao
wo dekho aa rahi hai ab sahar aahista aahista
Dhali hai shab udhar bhi nind ka ghalba hua tari
jhuki jati hain palken bhi idhar aahista aahista
ise to 'fauq' jhukna tha yahin par aur bhi lekin
kahan mera jhuka jata hai sar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.