hua jata hai pinhan raaz-e-dil mera ayan ho kar
huā jaatā hai pinhāñ rāz-e-dil merā ayaañ ho kar
dahān-e-zaḳhm pachtāte haiñ kyā kyā be-zabāñ ho kar
madad ai himmat-e-gardūñ-shikan ab zo.af se kab tak
raheñge nāla-hā-e-be-asar dil meñ nihāñ ho kar
yakāyak ho ga.ī kyoñ ḳhāna-barbādī ḳhudā jaane
girī kis kī nigāh-e-qahr barq-e-ḳhānumāñ ho kar
jo nāqūs-e-barahman but-kada meñ thā to masjid meñ
lab-e-zāhid se bhī niklā mirā naala azaañ ho kar
ye ḳhanjar hai ye dushman hai ye maiñ huuñ kyā tavaqquf hai
vo aa.eñ bhī kahīñ āmāda bahr-e-imtihāñ ho kar
rahe kyā raaz is majrūh kā pinhāñ ki jab nikle
dahān-e-zaḳhm se paikāñ raqīboñ kī zabāñ ho kar
huī taskīñ na mere qalb-e-vahshat-dost ko 'rāsiḳh'
libās-e-zindagī jab tak na utrā dhajjiyāñ ho kar
hua jata hai pinhan raaz-e-dil mera ayan ho kar
dahan-e-zaKHm pachtate hain kya kya be-zaban ho kar
madad ai himmat-e-gardun-shikan ab zoaf se kab tak
rahenge nala-ha-e-be-asar dil mein nihan ho kar
yakayak ho gai kyon KHana-barbaadi KHuda jaane
giri kis ki nigah-e-qahr barq-e-KHanuman ho kar
jo naqus-e-barahman but-kada mein tha to masjid mein
lab-e-zahid se bhi nikla mera nala azan ho kar
ye KHanjar hai ye dushman hai ye main hun kya tawaqquf hai
wo aaen bhi kahin aamada bahr-e-imtihan ho kar
rahe kya raaz is majruh ka pinhan ki jab nikle
dahan-e-zaKHm se paikan raqibon ki zaban ho kar
hui taskin na mere qalb-e-wahshat-dost ko 'rasiKH'
libas-e-zindagi jab tak na utra dhajjiyan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.