hua jo paiwand main zamin ka to dil hua shad mujh hazin ka
huā jo paivand maiñ zamīñ kā to dil huā shaad mujh hazīñ kā
bas ab irāda nahīñ kahīñ kā ki rahne vaalā huuñ maiñ yahīñ kā
qarīb hai yaaro roz-e-mahshar chhupegā kushtoñ kā ḳhuun kyūñ-kar
jo chup rahegī zabān-e-ḳhanjar lahū pukāregā āstīñ kā
havā-e-mai meñ huuñ mahv aisā chaman meñ ghir kar jo abr aaya
siyah-mastī meñ maiñ ye samjhā jahāz hai āb-e-ātashīñ kā
'amīr' dekhā jo us kā naqsha to naqsha yūsuf kā dil se utrā
ki naqsh-e-sānī ke aage hotā faroġh kyā naqsh-e-avvalīñ kā
hua jo paiwand main zamin ka to dil hua shad mujh hazin ka
bas ab irada nahin kahin ka ki rahne wala hun main yahin ka
qarib hai yaro roz-e-mahshar chhupega kushton ka KHun kyun-kar
jo chup rahegi zaban-e-KHanjar lahu pukarega aastin ka
hawa-e-mai mein hun mahw aisa chaman mein ghir kar jo abr aaya
siyah-masti mein main ye samjha jahaz hai aab-e-atashin ka
'amir' dekha jo us ka naqsha to naqsha yusuf ka dil se utra
ki naqsh-e-sani ke aage hota farogh kya naqsh-e-awwalin ka
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 213)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.