hua sawal ki fariyaad ab nahin aati
huā savāl ki fariyād ab nahīñ aatī
diyā javāb tirī yaad ab nahīñ aatī
zamīn-e-sher meñ go hal chalā.e jaate haiñ
magar dimāġh kī vo khaad ab nahīñ aatī
hai chand logoñ pe mauqūf is liye ḳhilqat
jahāñ pe baTtā hai parshād ab nahīñ aatī
ifāqa hai unheñ khujlī se is liye ham ko
pasand daad kī bedād ab nahīñ aatī
jo ek martaba phañs kar nikal ga.ī bulbul
kabhī vo daam meñ sayyād ab nahīñ aatī
qafas ko toḌ ke taa.ir nikal gayā hogā
sadā-e-nāla-e-fariyād ab nahīñ aatī
ḳhizāñ-rasīda hue ghar ba-faiz-e-nas-bandī
bahār-e-kasrat-e-aulād ab nahīñ aatī
na zauq-e-koh-kanī hai na shauq-e-jāñ-bāzī
sadā-e-taisha-e-farhād ab nahīñ aatī
kabhī chale the Take kos aaj motor hai
jo ibtidā thī kabhī yaad ab nahīñ aatī
hua sawal ki fariyaad ab nahin aati
diya jawab teri yaad ab nahin aati
zamin-e-sher mein go hal chalae jate hain
magar dimagh ki wo khad ab nahin aati
hai chand logon pe mauquf is liye KHilqat
jahan pe baTta hai parshad ab nahin aati
ifaqa hai unhen khujli se is liye hum ko
pasand dad ki bedad ab nahin aati
jo ek martaba phans kar nikal gai bulbul
kabhi wo dam mein sayyaad ab nahin aati
qafas ko toD ke tair nikal gaya hoga
sada-e-nala-e-fariyaad ab nahin aati
KHizan-rasida hue ghar ba-faiz-e-nas-bandi
bahaar-e-kasrat-e-aulad ab nahin aati
na zauq-e-koh-kani hai na shauq-e-jaan-bazi
sada-e-taisha-e-farhad ab nahin aati
kabhi chale the Take kos aaj motor hai
jo ibtida thi kabhi yaad ab nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.