hua shab ko abas mai ke liye jaana to kya hoga
huā shab ko 'abas mai ke liye jaanā to kyā hogā
añdhere meñ nazar aayā na mai-ḳhāna to kyā hogā
chaman vaalo qafas kī qaid be-mī’ād hotī hai
tumhī aao to aa jaanā mirā aanā to kyā hogā
girā hai jaam ḳhud saaqī se us par hashr barpā hai
mire hāthoñ se chhūTegā jo paimāna to kyā hogā
jagah tabdīl karne ko to kar luuñ bazm-e-sāqī meñ
vahāñ bhī aa sakā mujh tak na paimāna to kyā hogā
bahār-e-gul bane baiThe ho tum ġhairoñ kī mahfil meñ
koī aise meñ ho jaa.e jo dīvāna to kyā hogā
sar-e-mahshar mujhe dekhā to vo dil meñ ye socheñge
jo pahchānā to kyā hogā na pahchānā to kyā hogā
hifāzat ke liye ujḌī huī mahfil meñ baiThe haiñ
uḌā dī gar kisī ne ḳhāk-e-parvāna to kyā hogā
zabāñ to band karvāte ho tum allāh ke aage
kahā ham ne agar āñkhoñ se afsāna to kyā hogā
'qamar' us ajnabī mahfil meñ tum jaate to ho lekin
vahāñ tum ko kisī ne bhī na pahchānā to kyā hogā
hua shab ko 'abas mai ke liye jaana to kya hoga
andhere mein nazar aaya na mai-KHana to kya hoga
chaman walo qafas ki qaid be-mi’ad hoti hai
tumhi aao to aa jaana mera aana to kya hoga
gira hai jam KHud saqi se us par hashr barpa hai
mere hathon se chhuTega jo paimana to kya hoga
jagah tabdil karne ko to kar lun bazm-e-saqi mein
wahan bhi aa saka mujh tak na paimana to kya hoga
bahaar-e-gul bane baiThe ho tum ghairon ki mahfil mein
koi aise mein ho jae jo diwana to kya hoga
sar-e-mahshar mujhe dekha to wo dil mein ye sochenge
jo pahchana to kya hoga na pahchana to kya hoga
hifazat ke liye ujDi hui mahfil mein baiThe hain
uDa di gar kisi ne KHak-e-parwana to kya hoga
zaban to band karwate ho tum allah ke aage
kaha hum ne agar aankhon se afsana to kya hoga
'qamar' us ajnabi mahfil mein tum jate to ho lekin
wahan tum ko kisi ne bhi na pahchana to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.