hua shuur to KHud-agahi ke par nikle
huā shu'ūr to ḳhud-āgahī ke par nikle
fasīl-e-zāt meñ ḳhush-fahmiyoñ ke dar nikle
maiñ apne qatl kā ilzām kis ke sar rakhtā
jab apne haath hī apne lahū meñ tar nikle
tirī talāsh meñ aksar safīr yādoñ ke
ridā-e-ḳhvāb sar-e-shām oḌh kar nikle
huiiñ darāz jo mehr-e-sahar kī shamshīreñ
tamām jismoñ ke saa.e burīda-sar nikle
jinheñ talāsh thī shādāb-o-sabz mausam kī
unhīñ kī raah meñ sūkhe hue shajar nikle
hua shu'ur to KHud-agahi ke par nikle
fasil-e-zat mein KHush-fahmiyon ke dar nikle
main apne qatl ka ilzam kis ke sar rakhta
jab apne hath hi apne lahu mein tar nikle
teri talash mein aksar safir yaadon ke
rida-e-KHwab sar-e-sham oDh kar nikle
huin daraaz jo mehr-e-sahar ki shamshiren
tamam jismon ke sae burida-sar nikle
jinhen talash thi shadab-o-sabz mausam ki
unhin ki rah mein sukhe hue shajar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.