hua wo KHub-ru yun be-hijab aahista aahista
hua wo KHub-ru yun be-hijab aahista aahista
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
huā vo ḳhūb-rū yuuñ be-hijāb āhista āhista
nazar dekhe hai jaise koī ḳhvāb āhista āhista
bane jaise kalī koī gulāb āhista āhista
yuuñ kuchh us shoḳh par aayā shabāb āhista āhista
baḌhā hai dard-e-dil aur iztirāb āhista āhista
hue āshiq giraftār-e-azāb āhista āhista
hai kaisā sehr ye mad.hosh kar ke tishna-lab rakkhā
pilā.ī us nazar ne jo sharāb āhista āhista
jafāoñ ke tasalsul meñ koī vaqfa zarūrī hai
divāna lā.egā sahne kī taab āhista āhista
misāl-e-chāk ho kar rah gayā gardāñ vajūd apnā
kisī ne yuuñ kiyā ḳhāna-ḳharāb āhista āhista
nibāhī dostī kuchh yuuñ hamārī bāda-noshī par
kare hai mohtasib bhī ehtisāb āhista āhista
na chāhā phir bhī jā pahuñche usī sahrā meñ dīvāne
dikhāyā us nazar ne yuuñ sarāb āhista āhista
huā jab ḳhatm sarmāya to phir raḳht-e-safar bāñdhā
chukāyā ziist kā ham ne hisāb āhista āhista
hua wo KHub-ru yun be-hijab aahista aahista
nazar dekhe hai jaise koi KHwab aahista aahista
bane jaise kali koi gulab aahista aahista
yun kuchh us shoKH par aaya shabab aahista aahista
baDha hai dard-e-dil aur iztirab aahista aahista
hue aashiq giraftar-e-azab aahista aahista
hai kaisa sehr ye madhosh kar ke tishna-lab rakkha
pilai us nazar ne jo sharab aahista aahista
jafaon ke tasalsul mein koi waqfa zaruri hai
diwana laega sahne ki tab aahista aahista
misal-e-chaak ho kar rah gaya gardan wajud apna
kisi ne yun kiya KHana-KHarab aahista aahista
nibahi dosti kuchh yun hamari baada-noshi par
kare hai mohtasib bhi ehtisab aahista aahista
na chaha phir bhi ja pahunche usi sahra mein diwane
dikhaya us nazar ne yun sarab aahista aahista
hua jab KHatm sarmaya to phir raKHt-e-safar bandha
chukaya zist ka hum ne hisab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.