hubab jaise rawan waqt-e-muKHtasar mein raha
hubāb jaise ravāñ vaqt-e-muḳhtasar meñ rahā
usī tarah se maiñ is ziist ke safar meñ rahā
kabhī na vaqt kā sailāb ġharq kar paayā
maiñ ek tinkā thā mahfūz har bhañvar meñ rahā
khule darīchoñ pe Thahrī na is liye bhī nazar
ke apne ghar kā bhī manzar mirī nazar meñ rahā
dinoñ meñ rātoñ meñ is tarh terā saath diyā
jo āftāb se bichhḌā to maiñ qamar meñ rahā
'qasīm' jis ko ik aaseb kah rahe the sabhī
maiñ us ke saath hī har rāh-e-pur-ḳhatar meñ rahā
hubab jaise rawan waqt-e-muKHtasar mein raha
usi tarah se main is zist ke safar mein raha
kabhi na waqt ka sailab gharq kar paya
main ek tinka tha mahfuz har bhanwar mein raha
khule darichon pe Thahri na is liye bhi nazar
ke apne ghar ka bhi manzar meri nazar mein raha
dinon mein raaton mein is tarh tera sath diya
jo aaftab se bichhDa to main qamar mein raha
'qasim' jis ko ek aaseb kah rahe the sabhi
main us ke sath hi har rah-e-pur-KHatar mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.