hudud-e-jaan se aage nikal bhi sakta hai
hudūd-e-jān se aage nikal bhī saktā hai
ye sail-e-ishq hai sab kuchh nigal bhī saktā hai
makīn-e-arsh sahī māvarā-e-ġham to nahīñ
ki husn chāñd kā ik shab meñ Dhal bhī saktā hai
vo jis pe ghar nahīñ bante kabhī parindoñ ke
vo peḌ apne hī saa.e se jal bhī saktā hai
maiñ jāntā huuñ saḳhāvat vafā ke sahrā kī
hamārī eḌī se chashma ubal bhī saktā hai
gurez-pā na ho ujḌe hue makānoñ se
khañDar kī tah se ḳhazāna nikal bhī saktā hai
ye sarsarī sā ta'alluq hai mustaqil na samajh
vo ain vaqt pe rasta badal bhī saktā hai
tū do ghaḌī hī agar saath chal paḌe hamdam
azāb-e-hijr mire sar se Tal bhī saktā hai
hudud-e-jaan se aage nikal bhi sakta hai
ye sail-e-ishq hai sab kuchh nigal bhi sakta hai
makin-e-arsh sahi mawara-e-gham to nahin
ki husn chand ka ek shab mein Dhal bhi sakta hai
wo jis pe ghar nahin bante kabhi parindon ke
wo peD apne hi sae se jal bhi sakta hai
main jaanta hun saKHawat wafa ke sahra ki
hamari eDi se chashma ubal bhi sakta hai
gurez-pa na ho ujDe hue makanon se
khanDar ki tah se KHazana nikal bhi sakta hai
ye sarsari sa ta'alluq hai mustaqil na samajh
wo ain waqt pe rasta badal bhi sakta hai
tu do ghaDi hi agar sath chal paDe hamdam
azab-e-hijr mere sar se Tal bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.