hue aazim-e-mulk-e-adam jo hawas to KHushi ye hui thi ki gham se chhuTe
hue aazim-e-mulk-e-adam jo hawas to KHushi ye hui thi ki gham se chhuTe
Mirza Mohammad Taqi Hawas
MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas
hue āzim-e-mulk-e-adam jo 'havas' to ḳhushī ye huī thī ki ġham se chhuTe
pa farāġh alam se na vaañ bhī milā vaañ ġham ye huā ki vo ham se chhuTe
kabhī dair meñ the kisī but pe fidā kabhī kā'be meñ karte jā ke du'ā
tire kūche meñ baiThe to ḳhuub huā ki kashākash-e-dair-o-haram se chhuTe
yahī kahtī thī lailī-e-parda-nashīñ ki firāq kī ab use taab nahīñ
milūñ us se maiñ tā mirā qais-e-Hazīñ ġham-e-hijr ke dard-o-alam se chhuTe
maiñ huā bhī jo bismil-e-teġh-e-jafā vale baaqī hai dil meñ abhī ye vafā
ki yaqīñ hai lahū mirā jā-e-hinā jo lage to na pā-e-sanam se chhuTe
na ho basta-e-chīn-e-kamand-o-rasan rahe bhāgtā hai vo ba-dasht-e-ḳhutan
tirī chashm ho us pe jo sāya-fagan kabhī pā-e-ġhazāl na ram se chhuTe
na kyuuñ shākī hoñ baḳht-e-siyāh se ham ki vo mādin-e-shafqat-o-lutf-o-karam
kare nāla-e-shauq jo ham ko raqam to siyāhī na nok-e-qalam se chhuTe
mujhe rah meñ mile the vo bāñdhe kamar chale jaate the baaġh ko vaqt-e-sahar
unheñ laatā pakaḌ mujhe kis kā thā Dar pa fareb ke qaul-o-qasam se chhuTe
hue ḳhauf se gosha-guzīn asas gayā siina pilañg-e-falak kā jhulas
shab-e-hijr meñ yaaro baġhair-e-'havas' mire naale jo sher ajam se chhuTe
hue aazim-e-mulk-e-adam jo 'hawas' to KHushi ye hui thi ki gham se chhuTe
pa faragh alam se na wan bhi mila wan gham ye hua ki wo hum se chhuTe
kabhi dair mein the kisi but pe fida kabhi ka'be mein karte ja ke du'a
tere kuche mein baiThe to KHub hua ki kashakash-e-dair-o-haram se chhuTe
yahi kahti thi laili-e-parda-nashin ki firaq ki ab use tab nahin
milun us se main ta mera qais-e-Hazin gham-e-hijr ke dard-o-alam se chhuTe
main hua bhi jo bismil-e-tegh-e-jafa wale baqi hai dil mein abhi ye wafa
ki yaqin hai lahu mera ja-e-hina jo lage to na pa-e-sanam se chhuTe
na ho basta-e-chin-e-kamand-o-rasan rahe bhagta hai wo ba-dasht-e-KHutan
teri chashm ho us pe jo saya-fagan kabhi pa-e-ghazal na ram se chhuTe
na kyun shaki hon baKHt-e-siyah se hum ki wo madin-e-shafqat-o-lutf-o-karam
kare nala-e-shauq jo hum ko raqam to siyahi na nok-e-qalam se chhuTe
mujhe rah mein mile the wo bandhe kamar chale jate the bagh ko waqt-e-sahar
unhen lata pakaD mujhe kis ka tha Dar pa fareb ke qaul-o-qasam se chhuTe
hue KHauf se gosha-guzin asas gaya sina pilang-e-falak ka jhulas
shab-e-hijr mein yaro baghair-e-'hawas' mere nale jo sher ajam se chhuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.