hue hain ahl-e-nazar jaane kis dayar mein gum
hue haiñ ahl-e-nazar jaane kis dayār meñ gum
charāġh sog meñ haiñ bazm intizār meñ gum
kisī se kyā karam-e-mīr-e-kārvāñ kahiye
na jaane kitne musāfir hue ġhubār meñ gum
kuchh aisā be-ḳhudī-e-shab kā silsila hai ki log
sahar ko bhī haiñ charāġhāñ ke intizār meñ gum
ġharīb kis se tabassum kā falsafa pūchhe
amīr-e-shahr to hai apne kārobār meñ gum
sabhī safar meñ haiñ ye apnī apnī qismat hai
kisī ke sāmne manzil koī ġhubār meñ gum
tirā ye nazm-e-chaman bāġhbāñ hameñ taslīm
magar vo phuul hue jo bharī bahār meñ gum
'majīd' kitne hī dil haiñ javāb-e-lāla-o-gul
magar nazar hai tirī apne shāhkār meñ gum
hue hain ahl-e-nazar jaane kis dayar mein gum
charagh sog mein hain bazm intizar mein gum
kisi se kya karam-e-mir-e-karwan kahiye
na jaane kitne musafir hue ghubar mein gum
kuchh aisa be-KHudi-e-shab ka silsila hai ki log
sahar ko bhi hain charaghan ke intizar mein gum
gharib kis se tabassum ka falsafa puchhe
amir-e-shahr to hai apne karobar mein gum
sabhi safar mein hain ye apni apni qismat hai
kisi ke samne manzil koi ghubar mein gum
tera ye nazm-e-chaman baghban hamein taslim
magar wo phul hue jo bhari bahaar mein gum
'majid' kitne hi dil hain jawab-e-lala-o-gul
magar nazar hai teri apne shahkar mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.