hue jis ishq ke mahsur jaane hi nahin deta
hue jis ishq ke mahsūr jaane hī nahīñ detā
hameñ ḳhud se ziyāda duur jaane hī nahīñ detā
mizājan ibtidā se ham asīr-e-dasht-e-hijrāñ haiñ
jahāñ se ab dil-e-majbūr jaane hī nahīñ detā
ye lutf-e-ishq aisā hai lipaT jaatā hai pairoñ se
koī sarmad ho yā mansūr jaane hī nahīñ detā
jahāñ bechain phirte haiñ ujāle māñgne vaale
añdherā us jagah tak nuur jaane hī nahīñ detā
hameñ darkār hai ruḳhsat ġham-e-daurāñ se kuchh din kī
vo arzī kar ke nā-manzūr jaane hī nahīñ detā
ajab surma banāyā hai tirī zarb-e-tajallī ne
mirī āñkhoñ se koh-e-tūr jaane hī nahīñ detā
fazāoñ meñ vafā aur ḳhaak meñ itnī mohabbat hai
kahāñ jā.ūñ bahāvalpūr jaane hī nahīñ detā
hue jis ishq ke mahsur jaane hi nahin deta
hamein KHud se ziyaada dur jaane hi nahin deta
mizajan ibtida se hum asir-e-dasht-e-hijran hain
jahan se ab dil-e-majbur jaane hi nahin deta
ye lutf-e-ishq aisa hai lipaT jata hai pairon se
koi sarmad ho ya mansur jaane hi nahin deta
jahan bechain phirte hain ujale mangne wale
andhera us jagah tak nur jaane hi nahin deta
hamein darkar hai ruKHsat gham-e-dauran se kuchh din ki
wo arzi kar ke na-manzur jaane hi nahin deta
ajab surma banaya hai teri zarb-e-tajalli ne
meri aankhon se koh-e-tur jaane hi nahin deta
fazaon mein wafa aur KHak mein itni mohabbat hai
kahan jaun bahawalpur jaane hi nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.