hue na aandhi ke aage jo sar-KHamida shajar
hue na āñdhī ke aage jo sar-ḳhamīda shajar
so lag rahe haiñ hameñ apne ham-'aqīda shajar
bichhaḌ ke tujh se baḌe zabt se maiñ chal to paḌā
magar rulā ga.e raste ke ābdīda shajar
ai belo tum ko nahīñ ḳhauf tum to paañv meñ ho
ukhāḌe jā.eñge ḳhud.dār chīda chīda shajar
sajā liye na.e gamle alag alag sab ne
akelā rah gayā gulshan meñ sin-rasīda shajar
hamesha shahr se dhutkāre jaane vāloñ ko
gale lagāte haiñ jangal ke barguzīda shajar
hamāre zikr pe kahte haiñ yuuñ parinde ab
'nabīl' kaun vahī nā ḳhizāñ-rasīda shajar
hue na aandhi ke aage jo sar-KHamida shajar
so lag rahe hain hamein apne ham-'aqida shajar
bichhaD ke tujh se baDe zabt se main chal to paDa
magar rula gae raste ke aabdida shajar
ai belo tum ko nahin KHauf tum to panw mein ho
ukhaDe jaenge KHuddar chida chida shajar
saja liye nae gamle alag alag sab ne
akela rah gaya gulshan mein sin-rasida shajar
hamesha shahr se dhutkare jaane walon ko
gale lagate hain jangal ke barguzida shajar
hamare zikr pe kahte hain yun parinde ab
'nabil' kaun wahi na KHizan-rasida shajar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.