hue ruswa-e-ulfat umr bhar ko
hue rusvā-e-ulfat umr bhar ko
jigar rotā hai dil ko dil jigar ko
mire dil ko vo taktā hai jigar ko
ḳhabar apnī nahīñ us be-ḳhabar ko
kabhī hogā na kam saudā-e-ulfat
liye phirtā huuñ saath is dard-e-sar ko
kisī se bhī nahīñ miltī kisī din
nazar shāyad lagī terī nazar ko
milā de yā ilāhī tū milā de
asar se nāla-hā-e-be-asar ko
jo maiñ guzrā idhar to dāġh-e-dil ne
kiyā raushan charāġh-e-rahguzar ko
pasand aatā hai hañsnā ai sitamgar
lab-e-sofār kā zaḳhm-e-jigar ko
butoñ kī dostī se kyā natīja
ḳhudā se chāhiye ulfat bashar ko
javānī meñ abas hai fikr-e-pīrī
abhī hai raat muddat hai sahar ko
mai-e-ulfat kī aisī be-ḳhudī hai
ḳhabar dil kī nahīñ 'hāmid' jigar ko
hue ruswa-e-ulfat umr bhar ko
jigar rota hai dil ko dil jigar ko
mere dil ko wo takta hai jigar ko
KHabar apni nahin us be-KHabar ko
kabhi hoga na kam sauda-e-ulfat
liye phirta hun sath is dard-e-sar ko
kisi se bhi nahin milti kisi din
nazar shayad lagi teri nazar ko
mila de ya ilahi tu mila de
asar se nala-ha-e-be-asar ko
jo main guzra idhar to dagh-e-dil ne
kiya raushan charagh-e-rahguzar ko
pasand aata hai hansna ai sitamgar
lab-e-sofar ka zaKHm-e-jigar ko
buton ki dosti se kya natija
KHuda se chahiye ulfat bashar ko
jawani mein abas hai fikr-e-piri
abhi hai raat muddat hai sahar ko
mai-e-ulfat ki aisi be-KHudi hai
KHabar dil ki nahin 'hamid' jigar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.