hue the kaisi haqiqat se bad-guman hum log
hue the kaisi haqiqat se bad-guman hum log
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
hue the kaisī haqīqat se bad-gumāñ ham log
jo har-sū dekh rahe haiñ dhuāñ dhuāñ ham log
hamīñ se asl-e-binā-e-hayāt thī ab tak
magar haiñ chashm-e-ḳhudā.ī meñ rā.egāñ ham log
tamām hosh-o-ḳhirad ik gumān-e-lā-hāsil
ki soch sakte the varna kahāñ kahāñ ham log
hameñ thā zo'm ke goyā-e-‘asr haiñ lekin
ka.ī dinoñ se to jaise haiñ be-zabāñ ham log
vo sarfaroshī ke jazbe bhī raakh ho ga.e haiñ
hatheliyoñ pe liye ghūmte the jaañ ham log
magar ye vaqt bhī 'anjum' guzar hī jā.egā
palaT ke ā.eñge ik roz kāmrāñ ham log
hue the kaisi haqiqat se bad-guman hum log
jo har-su dekh rahe hain dhuan dhuan hum log
hamin se asl-e-bina-e-hayat thi ab tak
magar hain chashm-e-KHudai mein raegan hum log
tamam hosh-o-KHirad ek guman-e-la-hasil
ki soch sakte the warna kahan kahan hum log
hamein tha zo'm ke goya-e-‘asr hain lekin
kai dinon se to jaise hain be-zaban hum log
wo sarfaroshi ke jazbe bhi rakh ho gae hain
hatheliyon pe liye ghumte the jaan hum log
magar ye waqt bhi 'anjum' guzar hi jaega
palaT ke aaenge ek roz kaamran hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.