hui baKHshish to naya chand chaDhaya humne
huī baḳhshish to nayā chāñd chaḌhāyā ham ne
ḳhuld meñ ġhair kī hūroñ ko phañsāyā ham ne
hāl-e-dil un ko agar jā ke sunāyā ham ne
ulTā barham hue kyoñ dil ko lagāyā ham ne
kyoñ banāyā thā hameñ ek taraf hai ye savāl
ik taraf hai ye bharam tum ko banāyā ham ne
hashr kuchh aap kī mahfil nahīñ banda-parvar
jo bigaḌ kar hameñ kahte haiñ bulāyā ham ne
vasl meñ baat thī das bosoñ kī lekin us ne
sharm meñ ik hī liyā aur baqāyā ham ne
husn āñkhoñ meñ utar aayā hai har chand us kā
aa.ine meñ bhī jo dekhā use paayā ham ne
jab paḌhī hazrat-e-'hāris' kī ġhazal farmāyā
ba-ḳhudā aisā suḳhanvar nahīñ paayā ham ne
hui baKHshish to naya chand chaDhaya hum ne
KHuld mein ghair ki huron ko phansaya hum ne
haal-e-dil un ko agar ja ke sunaya hum ne
ulTa barham hue kyon dil ko lagaya hum ne
kyon banaya tha hamein ek taraf hai ye sawal
ek taraf hai ye bharam tum ko banaya hum ne
hashr kuchh aap ki mahfil nahin banda-parwar
jo bigaD kar hamein kahte hain bulaya hum ne
wasl mein baat thi das boson ki lekin us ne
sharm mein ek hi liya aur baqaya hum ne
husn aankhon mein utar aaya hai har chand us ka
aaine mein bhi jo dekha use paya hum ne
jab paDhi hazrat-e-'haaris' ki ghazal farmaya
ba-KHuda aisa suKHanwar nahin paya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.