hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida
huī dil TūTne par is tarah dil se fuġhāñ paidā
ki jaise sham.a ke bujhne se hotā hai dhuāñ paidā
rahā sābit-qadam yuuñ hī agar 'azm-e-safar apnā
karegī ḳhud rah-e-dushvār hī āsāniyāñ paidā
har ik tā'mīr ḳhud apnī tabāhī saath laatī hai
na girtī barq gar hotī na shāḳh-e-āshiyāñ paidā
mirī ḳhvāhish ki ik sajda miTā de nām-e-peshānī
tirī ḳhvāhish ho peshānī pe sajdoñ kā nishāñ paidā
vo jin kī maut par rote haiñ barsoñ jām-o-paimāna
ab aise bāda-kash hote haiñ ai saaqī kahāñ paidā
zarūrat kyā kareñ ham justajū-e-āstāñ ai dil
salāmat zauq-e-sajda aap hogā āstāñ paidā
nazar meñ jin kī rañgīnī tabī'at meñ hai rā'nā.ī
vo kar lete haiñ 'fāzil' dasht meñ bhī gulsitāñ paidā
hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida
ki jaise shama ke bujhne se hota hai dhuan paida
raha sabit-qadam yun hi agar 'azm-e-safar apna
karegi KHud rah-e-dushwar hi aasaniyan paida
har ek ta'mir KHud apni tabahi sath lati hai
na girti barq gar hoti na shaKH-e-ashiyan paida
meri KHwahish ki ek sajda miTa de nam-e-peshani
teri KHwahish ho peshani pe sajdon ka nishan paida
wo jin ki maut par rote hain barson jam-o-paimana
ab aise baada-kash hote hain ai saqi kahan paida
zarurat kya karen hum justaju-e-astan ai dil
salamat zauq-e-sajda aap hoga aastan paida
nazar mein jin ki rangini tabi'at mein hai ra'nai
wo kar lete hain 'fazil' dasht mein bhi gulsitan paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.