hui kam-zarfi-e-gham hijr mein giryan ho kar
huī kam-zarfī-e-ġham hijr meñ giryāñ ho kar
ek aañsū ne Duboyā hameñ tūfāñ ho kar
dil meñ ik hasrat-e-tāmīr hai so rangoñ se
aur ābād huā ghar mirā vīrāñ ho kar
khul gayā chashm-e-tamāshā kā bharam jalvoñ par
kyā milā jalva-gah-e-husn meñ hairāñ ho kar
ik nayā dām-e-vafā Daal rahe haiñ shāyad
tere gesū mire shānoñ pe pareshāñ ho kar
aa hī jaate haiñ alam-ḳhāna-e-tārīk meñ vo
chāñdnī ban ke kabhī sub.h-e-daraḳhshāñ ho kar
merī āvāz meñ un kī bhī sadā muzmar hai
un kī mahfil se jo aaya huuñ ġhazal-ḳhvāñ ho kar
ye bhī ik shoḳh kā faizān-e-nazar hai 'sāġhar'
ki jahāñ dekh rahā hai mujhe hairāñ ho kar
hui kam-zarfi-e-gham hijr mein giryan ho kar
ek aansu ne Duboya hamein tufan ho kar
dil mein ek hasrat-e-tamir hai so rangon se
aur aabaad hua ghar mera viran ho kar
khul gaya chashm-e-tamasha ka bharam jalwon par
kya mila jalwa-gah-e-husn mein hairan ho kar
ek naya dam-e-wafa Dal rahe hain shayad
tere gesu mere shanon pe pareshan ho kar
aa hi jate hain alam-KHana-e-tarik mein wo
chandni ban ke kabhi subh-e-daraKHshan ho kar
meri aawaz mein un ki bhi sada muzmar hai
un ki mahfil se jo aaya hun ghazal-KHwan ho kar
ye bhi ek shoKH ka faizan-e-nazar hai 'saghar'
ki jahan dekh raha hai mujhe hairan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.