hui main kaise nazar ka shikar kya malum
huī maiñ kaise nazar kā shikār kyā ma.alūm
milegā kab mire dil ko qarār kyā ma.alūm
kisī kī yaad meñ din to guzar gayā lekin
kaTegī kaise shab-e-intizār kyā ma.alūm
maiñ sach kahūñgī magar jāntī huuñ duniyā meñ
karegā kaun mirā e.atibār kyā ma.alūm
qafas meñ qaid haiñ jo log unheñ ḳhabar hī nahīñ
ḳhizāñ hai yā hai chaman meñ bahār kyā ma.alūm
mire qarīb se uTh kar tumhāre jaate hī
bikhar ga.e haiñ kyoñ hastī ke taar kyā ma.alūm
tirī talāsh meñ guzrī hai zindagī yā-rab
bisāt-e-gardish-e-lail-o-nahār kyā ma.alūm
tamām raat satātā hai ik ḳhayāl 'jamāl'
karegā kaun sitāre shumār kyā ma.alūm
hui main kaise nazar ka shikar kya malum
milega kab mere dil ko qarar kya malum
kisi ki yaad mein din to guzar gaya lekin
kaTegi kaise shab-e-intizar kya malum
main sach kahungi magar jaanti hun duniya mein
karega kaun mera eatibar kya malum
qafas mein qaid hain jo log unhen KHabar hi nahin
KHizan hai ya hai chaman mein bahaar kya malum
mere qarib se uTh kar tumhaare jate hi
bikhar gae hain kyon hasti ke tar kya malum
teri talash mein guzri hai zindagi ya-rab
bisat-e-gardish-e-lail-o-nahaar kya malum
tamam raat satata hai ek KHayal 'jamal'
karega kaun sitare shumar kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.