hui tazlil-e-hunar ba-hunron ke hote
huī tazlīl-e-hunar bā-hunroñ ke hote
naġhma be-rabt huā naġhma-garoñ ke hote
kisī aaseb kā saaya hai yaqīnan varna
dar-ba-dar phirte na ham apne gharoñ ke hote
ye ġhanīmat hai ki kuchh ahl-e-nazar baaqī haiñ
ham hadaf varna yahāñ kam-nazroñ ke hote
ishq par kaisā kaḌā vaqt paḌā hai yaaro
shahr vīrān hai āshufta-saroñ ke hote
girte paḌte sabhī manzil pe pahuñch to jaate
kaash dhoke meñ na ham rāhbaroñ ke hote
koī iisā nazar aa jaa.e to us se pūchhūñ
log mar jaate haiñ kyoñ chāragaroñ ke hote
ham hī se ho na sakī mad.h-sarā.ī un kī
varna manzūr-e-nazar tājvaroñ ke hote
jaane kis ḳhauf se simTe hue baiThe haiñ tuyūr
uḌ nahīñ paate nasheman se paroñ ke hote
ek gardish hī meñ ab tak to bikhar bhī jaate
ham agar dast-e-nigar kūza-garoñ ke hote
sochtā huuñ na ho manzil kā tilism-e-nairang
raah kyoñ miltī nahīñ rāhbaroñ ke hote
jaane kyā ho gayā qismat ko hamārī yā-rab
kuchh nazar aatā nahīñ dīda-varoñ ke hote
ham se aurāq-e-tavārīḳh ye karte haiñ savāl
kaise be-nām hue nām-varoñ ke hote
lutf to jab thā ki rūdād-e-safar meñ 'vāsil'
tazkire thoḌe bahut ham-safaroñ ke hote
hui tazlil-e-hunar ba-hunron ke hote
naghma be-rabt hua naghma-garon ke hote
kisi aaseb ka saya hai yaqinan warna
dar-ba-dar phirte na hum apne gharon ke hote
ye ghanimat hai ki kuchh ahl-e-nazar baqi hain
hum hadaf warna yahan kam-nazron ke hote
ishq par kaisa kaDa waqt paDa hai yaro
shahr viran hai aashufta-saron ke hote
girte paDte sabhi manzil pe pahunch to jate
kash dhoke mein na hum rahbaron ke hote
koi isa nazar aa jae to us se puchhun
log mar jate hain kyon chaaragaron ke hote
hum hi se ho na saki madh-sarai un ki
warna manzur-e-nazar tajwaron ke hote
jaane kis KHauf se simTe hue baiThe hain tuyur
uD nahin pate nasheman se paron ke hote
ek gardish hi mein ab tak to bikhar bhi jate
hum agar dast-e-nigar kuza-garon ke hote
sochta hun na ho manzil ka tilism-e-nairang
rah kyon milti nahin rahbaron ke hote
jaane kya ho gaya qismat ko hamari ya-rab
kuchh nazar aata nahin dida-waron ke hote
hum se auraq-e-tawariKH ye karte hain sawal
kaise be-nam hue nam-waron ke hote
lutf to jab tha ki rudad-e-safar mein 'wasil'
tazkire thoDe bahut ham-safaron ke hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.