hujra-e-zat ki wahshat se sukun nikla hai
hujra-e-zāt kī vahshat se sukūñ niklā hai
ashk niklā ki mirā zaḳhm-e-darūñ niklā hai
maiñ abhī sar ko paTaḳhtā huuñ yahī sochtā huuñ
kaise niklā tū mirī zaat se kyoñ niklā hai
ab maiñ jaanā ye ināyāt mire dost kī haiñ
maiñ samajhtā thā mirā baḳht nigūñ niklā hai
ek dīvār bhī uThnī hai abhī apne biich
ibtidā hai ye abhī ek sutūñ niklā hai
sochte sochte vo dil meñ huā taḳht-nashīñ
bolte bolte hī kun-fayakūñ niklā hai
hujra-e-zat ki wahshat se sukun nikla hai
ashk nikla ki mera zaKHm-e-darun nikla hai
main abhi sar ko paTaKHta hun yahi sochta hun
kaise nikla tu meri zat se kyon nikla hai
ab main jaana ye inayat mere dost ki hain
main samajhta tha mera baKHt nigun nikla hai
ek diwar bhi uThni hai abhi apne bich
ibtida hai ye abhi ek sutun nikla hai
sochte sochte wo dil mein hua taKHt-nashin
bolte bolte hi kun-fayakun nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.